Thursday, October 14, 2010

Peepli live

Review: Peepli live dekhe.


Picture kuch sochne par majboor karti hai.Kya kisanoin ki life aisi hi hai jaise film mein dikhayee gayi hai?
Ismein do bhai ek yojna ke tahat aatm-hatya karne ka plan banate hain ki sarkaar ki taraf se marne wale ke pariwaar ko ek lakh rupya milega.Aur pariwaar usse palega.Aur agar aatm-hatya kar bhi le to rupya nahi dene ka upaay bhi sarkaar kaise karegi?Ab aap ye saboot dejiye ki aatm-hatya thi ya haadsa? Media ko powerful bataya jaroor hai lekin samasya ko kaise aam darshak ke samne rakha jaye, ye kuch clear nahi hai. kaisi marne wale kisan ki family ki kya dasha hai ispar kuch bhi nahi kaha gaya. matlab ki samasya hai kisanoin ki, sab cheez bahut mahanga hai - beej,khad,jameen,khet aur jo bhi chahiye kisaani ke liye wo sab kuch, lekin usse nipatne ka tareeka kya hai? sarkaar ka makhaul udana ya uske baare mein kuch sochna aur kadam uthana.Agar aap soch sakte hain to bataiye kisi bhi madyam ke sahare agar samasya se nipatna hai to. Makhaul to koi bhi uda sakta hai system ka, usko theek kaise kiya jaye, ek cinema uspar bhi to bane.ek hi point dejiye lekin dejiye to, ki aap kuch sarkaar se alag soche
aur uspar amal karne ki koshish kiye.Negative batakar aap kuch bhi sahi nahi kar sakte. Oskar mein bhejkar is cinema ko ek baar phir sabit hoga ki India aisa hi gareeb aur lachaar hai.aur shayad kuch simpathy mil jaye, shayad award bhi. India se bahar log Inida ko aisa hi samjhte hain. Ek viksit India ko na koi dikhana chahta hai na hi baharwale kuch samajhna chahte hain.Is cinema ka message clear nahi hai.Agar ye sirf cinema hai kuch ghante ki to phir achchi hai, dekne layak hai lekin isse koi solution nahi mila.